Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam Ki 40 Sunnatein in Urdu and Hindi | प्यारे नबी की 40 सुन्नतें 

Assalamoalaikum is post mein pyare Nabi ki pyari sunnatein mojood hai.

Pyare Doston hm din bhar mein bahut sare kaam karte hain jaise khana , pina, sona , jaagna waghera lekin hm sab ye sabhi kaam be niyat se karte hain , Hm sab pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ke Ummati , Ye sabhi kaam pyare Nabi sallallahu alihi wasallam ki sunnaton ke mutabiq karenge to Allah pak hum sabse bahut khush hoga , aur Hum sabko na sirf duniya mein faida hoga , balki akhirat mein bhi iska baut ajar aur sawab milega .Hmare Pyare Nabi ki poori zindagi Hmare liye ek Seekh hai . Ap Nabi kareem salallahu alaihi wasallam jo bhi kaam anjaam dete usko is tarah anjam dete ki Allah pak Razi ho , SubhanAllah 

    Aye is post mein hum pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ki 40 sunnatein seekhte hain aur inshaAllah apni zindagi mein bhi in sabhi Sunnaton Ko Apnane ki poori koshish karenge .


Freinds in This beautiful Article We will provide you 40 beautiful Sunnat of Prophet Muhammad Sallallahu alaihi wasallam . Every muslim must apply these sunnah in their life . And try to become good ummat of prophet Muhammad Sallallahu alaihi wasallam. These sunnat are very easy , we can easily include these sunnat in our daily lives and It is 100% sure that these sunnat will protect you from devil shaitan .



Pyare Nabi Ki 40 Sunnatein in Urdu and Hindi | प्यारे नबी की सुन्नतें 

1)Salam Karna Ap SAW ki buhat pyari sunnat hai.

सलाम करना 

To Solute


2)Safar sy wapsi par Ghar walo ky liye Tohfa lana Ap SAW ki pyari sunnat hai.

सफर से वापिस आने पर घर वालों के लिए तोहफा लाना 

Bringing gifts for householders on their return from travel


3)Kisi ky ghar jana ho to ijazat Mangna sunnat hai.

किसी के घर जाना तो इजाज़त मांगना सुन्नत है 

It is Sunnah to ask permission to go to someone's home


4)Apny Ghar mein Aty huye ot jaty huye Salam karna sunnat hai.

अपने घर में आने जाने पर सलाम करो 

Salute when you arrive at your home



5)Sar mein Teel Lgana Ap SAW ki pyari sunnat hai.

सर में तेल लगाना सुन्नत है 

It is Sunnah to apply oil on the head


6)Khana Bismillah parh kar khana Sunnat hai.

खाना खाने से पहले बिस्मिल्लाह पढ़ना सुन्नत है 

It is Sunnah to recite Bismillah before having food.


7)Ittar lgana Ap SAW ki meethi sunnnat e mubarakah hai.

इत्र लगाना सुन्नत है 

it is sunnat to Apply Perfume.


8)Sar ky balon or Darhi ky balon mein khushboo lgana sunnat hai.

सर के बालों और दाढ़ी के बालों में खुशबू लगाना सुन्नत है 

It is Sunnah to Apply fragrance in the hair of the head and the hair of the beard.


9)Khana 3 unglion sy khana sunnat hai.

तीन उँगलियों से खाना खाना सुन्नत है 

It is Sunnah to eat with three fingers


10)Pani Beth kar peena sunnat hai.

पानी बैठ कर पीना सुन्नत है 

It is Sunnah to sit and drink water


11)Pani 3 sans mein peena sunnat hai.

पानी तीन सांस में पीना सुन्नत है 

It is Sunnah to drink water in three breaths



12)Mehman Nawazi Ap SAW ki buhat pyari sunnat e mubarak hai.

मेहमान नवाज़ी सुन्नत है 

Guests hospitality Sunnah


13)Musafah karna Ap SAW ki pyari sunnat hai.

हाथ मिलाना सुन्नत है 

it is sunnat to Shake hands


14)Ankho mein surma dalna Sunnat e mubarakah hai.

आँखों में सुरमा लगाना सुन्नत है 

It is Sunnah to apply Surma to the eyes


15)Rat ko soony sy pehly wazu karna Sunnat hai.

रात को सोने से पहले वज़ू करना सुन्नत है

It is sunnat to do Wudū before sleep at night.


16)Cheenk ky wqat Alhamdullilah kehna sunnat hai.

छींक आने पर अल्हमदो लिल्लाह कहना सुन्नत है

It is sunnat to say Alhamdulillah when you sneezing.


17)Nazar neechy jhuka kar chalna sunnat hai.

नज़र झुका के चलना सुन्नत है

It is Sunnah to walk with low eyes 


18) Rat ko sony sy pehly surma lagana sunnat hai.

रात को सोने से पहले सुरमा लगाना सुन्नत है

It is sunnah to Apply Surma at night



19)Imama pehanna sunnat hai.

इमामा पहनना सुन्नत है

It is sunnah to wear imama


20)Jumma ky din nakhun katna sunnat hai.

जुमा के दिन नाखून काट ना सुन्नत है

It is sunnah to cut nails at juma 


21)Naram guftagoo karna sunnat hai

नरम गुफ्तगू करना सुन्नत है

It is sunnah to speak polite.


22)Musalman ki Dil jooi karna sunnat e mubarakah hai.

मुसलमान की दिल जोई करना सुन्नत है


23)Muskurana sunnat e mubarakah hai.

मुस्कुराना भी सुन्नत है

Smile is sunnah


24)Galy milna sunnat e mubarakah hai.

It is sunnah to hug.

गले मिलना सुन्नत है


25)Libaas pehanty wqat Seedhi traf sy pehanna sunnat hai.

लिबास पहनते वक्त सीधी तरफ से पहनना सुन्नत है

It is sunnah to Wear Clothes From Left Side.


26)Peely rang ka joota pehanna sunnat hai.

It is sunnat to wear Shoes of Yellow color

पीले रंग के जूते पहनना सुन्नत है



27)Qibla rukh bethna sunnat hai.

किब्ला रुख बैठना सुन्नत है

It is sunnah to Sit front of Qibla


28)joota pehanty wqat pehly seedhy paon mein joota pehnna phir ulty paon mein pehanna sunnat hai.

जूता पहनते वक्त पहले सीधे पैर में जूता पहनना फिर उल्टे में पहनना सुन्नत है

It is sunnah to start wearing of shoes from left side.


29)Mardo ky liye Tehband Bandhna sunnat hai.

मर्दों के लिए तेहबंद बांधना सुन्नत है

It is sunnah to wear tehbabd 


30)Seedha ghutna khara kar ky khana sunnat hai.

सीधा घुटना खड़ा करके खाना खाना सुन्नत है

It is sunnah to stand left knee during eat.


31)Padoosio sy acha salook karna sunnat e mubarakah hai.

पड़ोसियों से अच्छा सुलूक करना सुन्नत है

It is sunnah to show soft attitude with neighborhood.


32) Bacho sy shafqat sy pesh ana pyari sunnat e mubarakah hai.

बच्चों से शफकत से पेश आना सुन्नत है

It is sunnah to be polite with children




33)Bivi sy Husan e salook karna Sunnat e mubarakah hai.

बीवी से हुस्न ए सुलूक करना सुन्नत है

It is sunnah to Talk good and behave good with your wife.


34)Musalman ki madad karna Sunnat e mubarakah hai.

मुसलमान की मदद करना सुन्नत है

It is sunnat to help muslims.


35)Apny musalman bhae ky Dil mein khushi dakhil karna sunnat e mubarakah hai.

अपने मुसलमान भाई के दिल में खुशी दाखिल करना सुन्नत है

It is sunnah to behave softly with Muslims


36)Zulfy rakhna Ap SAW ki pyari sunnat e mubarakah hai.

जुल्फें रखना सुन्नत है

It is sunnah to keep long hair.


37)Darhi rakhna Ap SAW ki buhat hi pyari sunnat hai.

दाढ़ी रखना सुन्नत है

It is sunnah to keep darhi


38)Muskura kar or khanda peshani sy bat cheet karna sunnat hai.

मुस्कुरा कर और खंदा पेशानी से बात करना सुन्नत है

It is suunnah to speak with smile


39)Jummy ky Din ghusal karna Sunnat e mubarakah hai.

जुमा के दिन गुसल करना सुन्नत है

It is sunnah to do gusal at juma


40)Miswak karna Ap SAW ki buhat pyari sunnat hai.

मिस्वाक Krna sunnat hai

It is sunnah to do miswak.



Pyare Doston Pyare Nabi ki Pyari sunnatein padh ke apko bahut kuch seekhne ko mila hoga , is  Post se Pyare Nabi ki zindagi ke bare mein bahut kuch janne ko mila , Ap Muhammad Salallallahu alihi wasallam ke Mubarak Kaam aur unke karne ke tareekon par Agr hm sab ghaur karenge to Payenge ,ki Pyare Nabi Ka har kaam ek maqsad ke liye hota hai , SubhanAllah Guzarish hai is post ko Apne Doston aur Rishtedaron mein share karen Sadqa e Jariya ke is kaam hmara saath den aur aesi hi pyari pyari islamic baaton ko jante hain 


JazakAllah Hu Khaira

3 comments: