Azan Lyrics in Arabic and English | Azan ka Matlab | Azan ka Tarjuma In hindi and Urdu

Assalamoalaikum Pyare Doston is post mein Azan lyrics in arabic aur Azan lyrics in english mein batane ja rahe hain , iske alawa Azan ka tarjuma in hindi and urdu mein bataya gya hai , Ye Post Ulma e Ahle Sunnat ke Zere saye Likhi jaa rhi hai to is post ko poora padhkar zyada se zyada share karen .



Pyare sathiyon Azan ek din mein 5 baar hoti hai , subha Ki pehli Azan ko Fajir ki Azan kehte hain , uske Baad Zohar ki Azan , Uske Bad Asar ki Azan aur Uske Bad Maghrib ki Azab aur Sabse Akhir mein Isha ki Azan hoti hai , Azan ka matlab namaz ke liye bulana hi nahi , balki Azan har achy aur mubarak moqe par di jaati hai jaise Bachy ki paidaish par Shadi biyah mein Azan dena Sunnat hai , Uske Alawa agar koi shaqs pareshan hai mushkil mein hai Jungle ka Rasta bhool gya hai , Mirgi ke mareez , Sar kash janwaron ke kaan mein Azan di jaati hai subhanAllah , Azan sunne ke beshumar fayde hain , Azan ka jawab dene ke bhi be shumar fazilat hain , Aqa Kareem Makki Madini Mustafa Sallallahu alaihi wasallam ne Azan dene ko pasand farmaya hai , Lihaza Kaam kaaj rok kar Azan ka jawab diya jaye ro wo Shaqs jannati hota hai SubhanAllah

Azan Lyrics in Arabic -

  1.  الله أكبر,الله أكبر
  2.  الله أكبر,الله أكبر
  3. أشهد أن لا اله إلا الله
  4. أشهد أن لا اله إلا الله
  5. أشهد أن محمدا رسول الله
  6. أشهد أن محمدا رسول الله
  7. حي على الصلاة
  8. حي على الصلاة
  9. حي على الفلاح
  10. حي على الفلاح
  11. لله أكبر, لله أكبر
  12. لا إله إلا الله


Azan Lyrics In Roman
  1. Allahu Akbar Allahu Akbar
  2. Allahu Akbar Allahu Akbar
  3. Ash-hadu an-lā ilāha illā allāh
  4. Ash-hadu an-lā ilāha illa allah
  5. Ash-hadu anna Muḥhammadan-Rasulullāh
  6. Ash-hadu anna Muḥhammadan-Rasulullāh
  7. Hayya ʿala ṣ-ṣsalāt
  8. Hayya ʿala ṣ-ṣsalāt
  9. Hayya ʿala 'l-falah
  10. Hayya ʿala 'l-falah
  11. Allāhu akbar Allāhu akbar
  12. Lā ilāha illā-Allāh



Azan ka Matlab In Hindi and Urdu

 الله أكبر,الله أكبر
Allah sabse Bada hai

 الله أكبر,الله أكبر
Allah sabse bada hai

أشهد أن لا اله إلا الله
Main gawahi Deta hun , Allah ke siwa Koi Mabood nahi

أشهد أن لا اله إلا الله
Main gawahi Deta hun , Allah ke siwa Koi Mabood nahi

أشهد أن محمدا رسول الله
Main Gawahi deta hun , Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain

أشهد أن محمدا رسول الله
Main Gawahi deta hun , Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain

حي على الصلاة
Namaz padhne ke liye Ao

حي على الصلاة
Namaz padhne ke liye Ao

حي على الفلاح
Nijat pane ke liye Ao

حي على الفلاح
Nijat pane ke liye Ao

لله أكبر, لله أكبر
Allah sabse Bada hai , Allah sabse Bada hai

لا إله إلا الله
Allah ke siwa koi mabood nahi



subhanAllah pyare doston aj ki ye post padh kar apko zaroor khushi hui hogi , Azan ka sahi tarjuma hamne apko btane ki koshish ki hai , Apko ye post zaroor pasand ayi hogi , to AAgy zaroor share karen jisse hm apke liye behtareen post le kar ayen ,Ye Sabhi post ulma e Ahle sunnat ke zere sare likhi jaa rhi hain to Ap sab zyada se zyada Share karte hain aur sahi maloomat hasil karen , sahi islamic information bilkul free mein.

JazakAllah hu khaira

No comments